jahan-e-dil mein sannaTa bahut hai
jahān-e-dil meñ sannāTā bahut hai
samundar aaj kal pyāsā bahut hai
ye maanā vo shajar sūkhā bahut hai
magar us meñ abhī saayā bahut hai
farishtoñ meñ bhī jis ke tazkire haiñ
vo tere shahr meñ rusvā bahut hai
ba-zāhir pur-sukūñ hai saarī bastī
magar andar se hañgāmā bahut hai
use ab bhuul jaanā chāhtā huuñ
kabhī maiñ ne jise chāhā bahut hai
vo patthar kyā kisī ke kaam aatā
magar sab ne use puujā bahut hai
mirā ghar to ujaḌ jā.egā lekin
tumhāre ghar ko bhī ḳhatrā bahut hai
mirā dushman mire ash.ār sun kar
na jaane aaj kyuuñ royā bahut hai
jahan-e-dil mein sannaTa bahut hai
samundar aaj kal pyasa bahut hai
ye mana wo shajar sukha bahut hai
magar us mein abhi saya bahut hai
farishton mein bhi jis ke tazkire hain
wo tere shahr mein ruswa bahut hai
ba-zahir pur-sukun hai sari basti
magar andar se hangama bahut hai
use ab bhul jaana chahta hun
kabhi main ne jise chaha bahut hai
wo patthar kya kisi ke kaam aata
magar sab ne use puja bahut hai
mera ghar to ujaD jaega lekin
tumhaare ghar ko bhi KHatra bahut hai
mera dushman mere ashaar sun kar
na jaane aaj kyun roya bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.