jalte hue jangal se guzarna tha hamein bhi
jalte hue jangal se guzarnā thā hameñ bhī
phir barf ke sahrā meñ Thaharnā thā hameñ bhī
me'yār-navāzī meñ kahāñ us ko sukūñ thā
us shoḳh kī nazroñ se utarnā thā hameñ bhī
jaañ baḳhsh thā pal bhar ke liye lams kisī kā
phir karb ke dariyā meñ utarnā thā hameñ bhī
yāroñ kī nazar hī meñ na the pankh hamāre
ḳhud apnī uḌānoñ ko katarnā thā hameñ bhī
vo shahd meñ Duubā huā lahja vo taḳhātub
iḳhlās ke vo rang ki Darnā thā hameñ bhī
yaad aa.e jo qadroñ ke mahakte hue gulban
chāñdī ke hisāroñ se ubharnā thā hameñ bhī
sone ke hiñDole meñ vo ḳhush-posh magan thā
mausam bhī suhānā thā sañvarnā thā hameñ bhī
har phuul pe us shaḳhs ko patthar the chalāne
ashkoñ se har ik barg ko bharnā thā hameñ bhī
us ko thā bahut naaz ḳhad-o-ḳhāl pe 'ambar'
ik roz tah-e-ḳhāk bikharnā thā hameñ bhī
jalte hue jangal se guzarna tha hamein bhi
phir barf ke sahra mein Thaharna tha hamein bhi
me'yar-nawazi mein kahan us ko sukun tha
us shoKH ki nazron se utarna tha hamein bhi
jaan baKHsh tha pal bhar ke liye lams kisi ka
phir karb ke dariya mein utarna tha hamein bhi
yaron ki nazar hi mein na the pankh hamare
KHud apni uDanon ko katarna tha hamein bhi
wo shahd mein Duba hua lahja wo taKHatub
iKHlas ke wo rang ki Darna tha hamein bhi
yaad aae jo qadron ke mahakte hue gulban
chandi ke hisaron se ubharna tha hamein bhi
sone ke hinDole mein wo KHush-posh magan tha
mausam bhi suhana tha sanwarna tha hamein bhi
har phul pe us shaKHs ko patthar the chalane
ashkon se har ek barg ko bharna tha hamein bhi
us ko tha bahut naz KHad-o-KHal pe 'ambar'
ek roz tah-e-KHak bikharna tha hamein bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.