Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jalwa dikhlae jo wo apni KHud-arai ka

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

jalwa dikhlae jo wo apni KHud-arai ka

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

jalva dikhlā.e jo vo apnī ḳhud-ārā.ī

nuur jal jaa.e abhī chashm-e-tamāshā.ī

rañg har phuul meñ hai husn-e-ḳhud-ārā.ī

chaman-e-dahr hai mahzar tirī yaktā.ī

apne markaz taraf mā.il-e-parvāz thā husn

bhūltā nahīñ aalam tirī añgḌā.ī

uf tire husn-e-jahāñ-soz pur-zor kashish

nuur sab kheñch liyā chashm-e-tamāshā.ī

dekh kar nazm-e-do-ālam hameñ kahnā paḌā

ye salīqa hai kase anjuman-ārā.ī

kal jo gulzār meñ haiñ gosh-bar-āvāz 'azīz'

mujh se bulbul ne liyā tarz ye shevā.ī

jalwa dikhlae jo wo apni KHud-arai ka

nur jal jae abhi chashm-e-tamashai ka

rang har phul mein hai husn-e-KHud-arai ka

chaman-e-dahr hai mahzar teri yaktai ka

apne markaz ki taraf mail-e-parwaz tha husn

bhulta hi nahin aalam teri angDai ka

uf tere husn-e-jahan-soz ki pur-zor kashish

nur sab khench liya chashm-e-tamashai ka

dekh kar nazm-e-do-alam hamein kahna hi paDa

ye saliqa hai kase anjuman-arai ka

kal jo gulzar mein hain gosh-bar-awaz 'aziz'

mujh se bulbul ne liya tarz ye shewai ka

Source :
  • Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 421)
  • Author : Dr. Abdul Wahid
  • Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now