jaras-e-mai ne pukara hai uTho aur suno
jaras-e-mai ne pukārā hai uTho aur suno
shaiḳh aa.e haiñ sū-e-mai-kada lo aur suno
kis tarah ujḌe sulagtī huī yādoñ ke diye
hamdamo dil ke qarīb aao ruko aur suno
zaḳhm-e-hastī hai koī zaḳhm-e-mohabbat to nahīñ
Tiis uTThe bhī to fariyād na ho aur suno
ḳhud hī har ghaav pe kahte ho zabāñ gañg rahe
ḳhud hī phir pursish-e-ahvāl karo aur suno
dāstāñ kahte haiñ jalte hue phūloñ ke charāġh
abhī kuchh aur suno dīda-varo aur suno
shahryāroñ ke haiñ har gaam pe charche 'rāhat'
ye vo bastī hai ki bas kuchh na kaho aur suno
jaras-e-mai ne pukara hai uTho aur suno
shaiKH aae hain su-e-mai-kada lo aur suno
kis tarah ujDe sulagti hui yaadon ke diye
hamdamo dil ke qarib aao ruko aur suno
zaKHm-e-hasti hai koi zaKHm-e-mohabbat to nahin
Tis uTThe bhi to fariyaad na ho aur suno
KHud hi har ghaw pe kahte ho zaban gang rahe
KHud hi phir pursish-e-ahwal karo aur suno
dastan kahte hain jalte hue phulon ke charagh
abhi kuchh aur suno dida-waro aur suno
shahryaron ke hain har gam pe charche 'rahat'
ye wo basti hai ki bas kuchh na kaho aur suno
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 03.03.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.