jhuTi ummid ki ungli ko pakaDna chhoDo
jhūTī ummīd kī uñglī ko pakaḌnā chhoḌo
dard se baat karo dard se laḌnā chhoḌo
jo paḌosī haiñ vo sab apne mohalle ke haiñ
kaam ā.eñge ye sab in se jhagaḌnā chhoḌo
be-sabab dete ho kyuuñ apnī zehānat kā subūt
hiire motī ko har ik baat meñ jaḌnā chhoḌo
chāñd sūraj kī tarah tum bhī ho qudrat kā khel
jaise ho vaise raho banñā bigaḌnā chhoḌo
ḳhvāb kā raaz faqat raat ke siine meñ hai
din meñ tā'bīr kī titlī ko pakaḌnā chhoḌo
jhuTi ummid ki ungli ko pakaDna chhoDo
dard se baat karo dard se laDna chhoDo
jo paDosi hain wo sab apne mohalle ke hain
kaam aaenge ye sab in se jhagaDna chhoDo
be-sabab dete ho kyun apni zehanat ka subut
hire moti ko har ek baat mein jaDna chhoDo
chand suraj ki tarah tum bhi ho qudrat ka khel
jaise ho waise raho banna bigaDna chhoDo
KHwab ka raaz faqat raat ke sine mein hai
din mein ta'bir ki titli ko pakaDna chhoDo
- Book : Soch Samajh (Pg. 29)
- Author : Salman Akhtar
- Publication : Star Publishers Pvt.Ltd, N. Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.