ji mein aata hai ki chal kar jangalon mein ja rahen
jī meñ aatā hai ki chal kar jañgaloñ meñ jā raheñ
nit-na.e mausam ke bhī hamrāh vābasta raheñ
aatī jaatī rut ko dekheñ apne chashm o gosh se
mausamoñ ke vaar sah kar bhī yūñhī zinda raheñ
phuul phal paude parinde hamdam o dam-sāz hoñ
in meñ baste hī bhale lekin na yuuñ tanhā raheñ
shahr ke dīvār-o-dar har ik se haiñ nā-āshnā
shahr meñ rahte hue kyūñkar na begāna raheñ
be-muravvat hai zamāna us kā shikva kyuuñ kareñ
apne andar ke makīñ kā ban ke ham-sāya raheñ
jism ke andar ġhamoñ kī āñdhiyāñ chaltī raheñ
zāhirī sūrat meñ sab chehre tar-o-tāza raheñ
dekhte hī jis ko sab mahrūmiyāñ kāfūr hoñ
dil meñ tūfāñ se uTheñ chehre magar saada raheñ
mas.ala ye bhī to hai is ahd kā ai jān-e-jāñ
kyuuñ nichhāvar jaañ kareñ kis ke liye zinda raheñ
uḌte lamhoñ ko agar qaabū meñ karnā hai 'sa.īd'
bhāgne ko har ghaḌī har vaqt āmāda raheñ
ji mein aata hai ki chal kar jangalon mein ja rahen
nit-nae mausam ke bhi hamrah wabasta rahen
aati jati rut ko dekhen apne chashm o gosh se
mausamon ke war sah kar bhi yunhi zinda rahen
phul phal paude parinde hamdam o dam-saz hon
in mein baste hi bhale lekin na yun tanha rahen
shahr ke diwar-o-dar har ek se hain na-ashna
shahr mein rahte hue kyunkar na begana rahen
be-murawwat hai zamana us ka shikwa kyun karen
apne andar ke makin ka ban ke ham-saya rahen
jism ke andar ghamon ki aandhiyan chalti rahen
zahiri surat mein sab chehre tar-o-taza rahen
dekhte hi jis ko sab mahrumiyan kafur hon
dil mein tufan se uThen chehre magar sada rahen
masala ye bhi to hai is ahd ka ai jaan-e-jaan
kyun nichhawar jaan karen kis ke liye zinda rahen
uDte lamhon ko agar qabu mein karna hai 'said'
bhagne ko har ghaDi har waqt aamada rahen
- Book : naquush (Pg. 295)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.