jo sare ham-safar ek bar harz-e-jaan kar len
jo saare ham-safar ik baar harz-e-jāñ kar leñ
to jis zamīñ pe qadam rakkheñ āsmāñ kar leñ
ishāra kartī haiñ maujeñ ki aa.egā tūfāñ
chalo ham apne irādoñ ko bādbāñ kar leñ
paroñ ko joḌ ke uḌne kā shauq hai jin ko
unheñ batāo ki mahfūz āshiyāñ kar leñ
jo qatl tū ne kiyā thā banā ke mansūba
tire sitam ko baḌhā.eñ to dāstāñ kar leñ
dahakte sho.aloñ pe chalne kā shauq hai jin ko
rutoñ kī aag meñ vo hausle javāñ kar leñ
ye un se kah do agar imtihān kī zid hai
samundaroñ kī tarah dil ko be-karāñ kar leñ
har ek buuñd kā leñge hisāb ham 'alvī'
hamāre ḳhuun se dil ko vo shādmāñ kar leñ
jo sare ham-safar ek bar harz-e-jaan kar len
to jis zamin pe qadam rakkhen aasman kar len
ishaara karti hain maujen ki aaega tufan
chalo hum apne iradon ko baadban kar len
paron ko joD ke uDne ka shauq hai jin ko
unhen batao ki mahfuz aashiyan kar len
jo qatl tu ne kiya tha bana ke mansuba
tere sitam ko baDhaen to dastan kar len
dahakte shoalon pe chalne ka shauq hai jin ko
ruton ki aag mein wo hausle jawan kar len
ye un se kah do agar imtihan ki zid hai
samundaron ki tarah dil ko be-karan kar len
har ek bund ka lenge hisab hum 'alwi'
hamare KHun se dil ko wo shadman kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.