kash ek shab ke liye KHud ko mayassar ho jaen
kaash ik shab ke liye ḳhud ko mayassar ho jaa.eñ
farsh-e-shabnam se uTheñ aur gul-e-tar ho jaa.eñ
dekhne vaalī agar aañkh ko pahchān sakeñ
rañg ḳhud parda-e-tasvīr se bāhar ho jaa.eñ
tishnagī jism ke sahrā meñ ravāñ rahtī hai
ḳhud meñ ye mauj samo leñ to samundar ho jaa.eñ
vo bhī din aa.eñ ye bekār guzarte shab-o-roz
terī āñkheñ tire baazū tirā paikar ho jaa.eñ
apnī palkoñ se jinheñ noch ke pheñkā hai abhī
kyā karoge jo yahī ḳhvāb muqaddar ho jaa.eñ
jo bhī narmī hai ḳhayāloñ meñ na hone se hai
ḳhvāb āñkhoñ se nikal jaa.eñ to patthar ho jaa.eñ
kash ek shab ke liye KHud ko mayassar ho jaen
farsh-e-shabnam se uThen aur gul-e-tar ho jaen
dekhne wali agar aankh ko pahchan saken
rang KHud parda-e-taswir se bahar ho jaen
tishnagi jism ke sahra mein rawan rahti hai
KHud mein ye mauj samo len to samundar ho jaen
wo bhi din aaen ye bekar guzarte shab-o-roz
teri aankhen tere bazu tera paikar ho jaen
apni palkon se jinhen noch ke phenka hai abhi
kya karoge jo yahi KHwab muqaddar ho jaen
jo bhi narmi hai KHayalon mein na hone se hai
KHwab aankhon se nikal jaen to patthar ho jaen
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 73)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.