kab is mein shak mujhe hai jo lazzat hai qal mein
kab is meñ shak mujhe hai jo lazzat hai qaal meñ
lekin vo baat is meñ kahāñ hai jo haal meñ
dil hai mirā ki mārka-e-kufr-o-dīñ koī
ik umr kaT ga.ī hai javāb o savāl meñ
allāh re be-ḳhudī ki tire ghar ke ās-pās
har dar pe dī sadā tire dar ke ḳhayāl meñ
do naam ek kaifiyat-e-jazb-e-dil ke haiñ
bas farq is qadar hai firāq o visāl meñ
aa.e vo kitnī baar nigāhoñ ke rū-ba-rū
us ke libās meñ kabhī us ke jamāl meñ
kab is mein shak mujhe hai jo lazzat hai qal mein
lekin wo baat is mein kahan hai jo haal mein
dil hai mera ki marka-e-kufr-o-din koi
ek umr kaT gai hai jawab o sawal mein
allah re be-KHudi ki tere ghar ke aas-pas
har dar pe di sada tere dar ke KHayal mein
do nam ek kaifiyat-e-jazb-e-dil ke hain
bas farq is qadar hai firaq o visal mein
aae wo kitni bar nigahon ke ru-ba-ru
us ke libas mein kabhi us ke jamal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.