kabhi diwar ko tarse kabhi dar ko tarse
kabhī dīvār ko tarse kabhī dar ko tarse
ham hue ḳhāna-ba-dosh aise ki ghar ko tarse
jhuuT bolūñ to chipak jaa.e zabāñ taalū se
jhuuT likkhūñ to mirā haath hunar ko tarse
qarya-er-ei-nāma-barāñ ab ke kahāñ jaa.eñ ki jab
tire pahlū meñ bhī ham us kī ḳhabar ko tarse
sab ke sab tishna-e-takmīl haiñ is shahr ke log
koī dastār ko tarse koī sar ko tarse
shahr-e-be-mehr meñ zinda haiñ tire bin jaise
dhuup ke shahr kā bāshinda shajar ko tarse
kabhi diwar ko tarse kabhi dar ko tarse
hum hue KHana-ba-dosh aise ki ghar ko tarse
jhuT bolun to chipak jae zaban talu se
jhuT likkhun to mera hath hunar ko tarse
qarya-er-ei-nama-baran ab ke kahan jaen ki jab
tere pahlu mein bhi hum us ki KHabar ko tarse
sab ke sab tishna-e-takmil hain is shahr ke log
koi dastar ko tarse koi sar ko tarse
shahr-e-be-mehr mein zinda hain tere bin jaise
dhup ke shahr ka bashinda shajar ko tarse
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 16.04.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.