kabhi wo misl-e-gul mujhe misal-e-Khaar chahiye
kabhī vo misl-e-gul mujhe misāl-e-ḳhār chāhiye
kabhī mizāj-e-mehrbāñ vafā-shi.ār chāhiye
jabīn-e-ḳhud-pasand ko sazā-e-dard yaad ho
sar-e-junūn-kosh meñ ḳhayāl-dār chāhiye
fareb-e-qurb-e-yār ho ki hasrat-e-supurdagī
kisī sabab se dil mujhe ye be-qarār chāhiye
ġham-e-zamāna jab na ho ġham-e-vajūd DhūñD luuñ
ki ik zamīn-e-jāñ jo hai vo dāġhdār chāhiye
vo āzmā.ish-e-junūñ vo imtihān-e-be-ḳhudī
vo sohbat-e-tabāh-kun phir ek baar chāhiye
kabhi wo misl-e-gul mujhe misal-e-KHar chahiye
kabhi mizaj-e-mehrban wafa-shiar chahiye
jabin-e-KHud-pasand ko saza-e-dard yaad ho
sar-e-junun-kosh mein KHayal-dar chahiye
fareb-e-qurb-e-yar ho ki hasrat-e-supurdagi
kisi sabab se dil mujhe ye be-qarar chahiye
gham-e-zamana jab na ho gham-e-wajud DhunD lun
ki ek zamin-e-jaan jo hai wo daghdar chahiye
wo aazmaish-e-junun wo imtihan-e-be-KHudi
wo sohbat-e-tabah-kun phir ek bar chahiye
- Book : siip-volume-47 (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.