kaisi mani ki qaba rishton ko pahnai gai
kaisī mā'nī kī qabā rishtoñ ko pahnā.ī ga.ī
ek hī lamhe meñ barsoñ kī shanāsā.ī ga.ī
har dar-o-dīvār par bachpan javānī naqsh the
kab mire ghar se mire maazī kī dārā.ī ga.ī
is qadar ūñchī huī dīvār-e-nafrat har taraf
aaj har insāñ se insāñ kī pazīrā.ī ga.ī
har nayā din dhuup kī kirnoñ se tap kar aa.e hai
jism se ThanDak ga.ī āñkhoñ se bīnā.ī ga.ī
ab kahāñ vo mastiyāñ sargoshiyāñ gul-reziyāñ
dāman-e-sahrā se jo aatī thī purvā.ī ga.ī
vaqt kī sauġhāt hai na ham haiñ ham na tum ho tum
zehn se socheñ ga.iiñ hoñToñ se sachchā.ī ga.ī
aaj phir hai hukmrānī tīrgī kī har taraf
raushnī ik pal ko 'sābir' aa.ī aur aa.ī ga.ī
kaisi ma'ni ki qaba rishton ko pahnai gai
ek hi lamhe mein barson ki shanasai gai
har dar-o-diwar par bachpan jawani naqsh the
kab mere ghar se mere mazi ki darai gai
is qadar unchi hui diwar-e-nafrat har taraf
aaj har insan se insan ki pazirai gai
har naya din dhup ki kirnon se tap kar aae hai
jism se ThanDak gai aankhon se binai gai
ab kahan wo mastiyan sargoshiyan gul-reziyan
daman-e-sahra se jo aati thi purwai gai
waqt ki saughat hai na hum hain hum na tum ho tum
zehn se sochen gain honTon se sachchai gai
aaj phir hai hukmrani tirgi ki har taraf
raushni ek pal ko 'sabir' aai aur aai gai
- Book : Aabnaai (Pg. 30)
- Author : Sabir Adeeb
- Publication : Sabir Adeeb, Bhopal MP (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.