Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kam purana bahut naya tha firaq

Habib Jalib

kam purana bahut naya tha firaq

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    Interesting Fact

    In memory of Firaq

    kam purānā bahut nayā thā firāq

    ik 'ajab ramz-āshnā thā firāq

    duur vo kab huā nigāhoñ se

    dhaḌkanoñ meñ basā huā hai firāq

    shām-e-ġham ke sulagte sahrā meñ

    ik umañDtī huī ghaTā thā firāq

    amn thā pyaar thā mohabbat thā

    rang thā nuur thā navā thā firāq

    fāsle nafratoñ ke miT jaa.eñ

    pyaar pyaar sochtā thā firāq

    ham se ranj-o-alam ke māroñ ko

    kis mohabbat se dekhtā thā firāq

    'ishq insāniyat se thā us ko

    har ta'assub se māvarā thā firāq

    kam purana bahut naya tha firaq

    ek 'ajab ramz-ashna tha firaq

    dur wo kab hua nigahon se

    dhaDkanon mein basa hua hai firaq

    sham-e-gham ke sulagte sahra mein

    ek umanDti hui ghaTa tha firaq

    amn tha pyar tha mohabbat tha

    rang tha nur tha nawa tha firaq

    fasle nafraton ke miT jaen

    pyar hi pyar sochta tha firaq

    hum se ranj-o-alam ke maron ko

    kis mohabbat se dekhta tha firaq

    'ishq insaniyat se tha us ko

    har ta'assub se mawara tha firaq

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 328)
    • Author : Habib Jalib
    • Publication : Tahir Sons Publishers (2012)
    • Edition : 2012

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now