kanar-e-ab hawa jab bhi sansanati hai
kanār-e-āb havā jab bhī sansanātī hai
nadī meñ chupke se ik chīḳh Duub jaatī hai
dikhā.ī detī haiñ lāsheñ hī lāsheñ āñgan meñ
kahāñ se ḳhud-kushī kar ke ye dhuup aatī hai
vo shai jo baiThtī hai chhup ke nañge peḌoñ meñ
guzarte vaqt bahut tāliyāñ bajātī hai
piyūñ sharāb maiñ dushman ke kāsa-e-sar meñ
ye buzdil aarzū kaisī hañsī uḌātī hai
'musavvir' us ko batāte haiñ zāniya ye log
kueñ meñ apnī jo sab nekiyāñ girātī hai
kanar-e-ab hawa jab bhi sansanati hai
nadi mein chupke se ek chiKH Dub jati hai
dikhai deti hain lashen hi lashen aangan mein
kahan se KHud-kushi kar ke ye dhup aati hai
wo shai jo baiThti hai chhup ke nange peDon mein
guzarte waqt bahut taliyan bajati hai
piyun sharab main dushman ke kasa-e-sar mein
ye buzdil aarzu kaisi hansi uDati hai
'musawwir' us ko batate hain zaniya ye log
kuen mein apni jo sab nekiyan giraati hai
- Book : dahliiz per utartii shaam (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.