KHud apni zat ke shahpar mein hun main
ḳhud apnī zaat ke shahpar meñ huuñ maiñ
kabhī markaz kabhī mehvar meñ huuñ maiñ
abhī mujh meñ bahut himmat hai lekin
kisī haare hue lashkar meñ huuñ maiñ
bahādur hai amaañ saḌkoñ pe lekin
Darā-sahmā huā sā ghar meñ huuñ maiñ
yaqīñ sāhil pe hone kā to hogā
abhī tashkīk ke sāgar meñ huuñ maiñ
vo āñkhoñ se utar aayā hai dil meñ
isī manzar ke pas-manzar meñ huuñ maiñ
agar hai taaj chāhat kī alāmat
to is ke ek ik patthar meñ huuñ maiñ
KHud apni zat ke shahpar mein hun main
kabhi markaz kabhi mehwar mein hun main
abhi mujh mein bahut himmat hai lekin
kisi haare hue lashkar mein hun main
bahadur hai aman saDkon pe lekin
Dara-sahma hua sa ghar mein hun main
yaqin sahil pe hone ka to hoga
abhi tashkik ke sagar mein hun main
wo aankhon se utar aaya hai dil mein
isi manzar ke pas-manzar mein hun main
agar hai taj chahat ki alamat
to is ke ek ek patthar mein hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.