KHushbu si koi aae to lagta hai ki tum ho
ḳhushbū sī koī aa.e to lagtā hai ki tum ho
shīsha kahīñ Takrā.e to lagtā hai ki tum ho
ehsās-e-mohabbat se kisī gosha-e-dil meñ
jab choT ubhar aa.e to lagtā hai ki tum ho
pur-kaif havā meñ jo kisī peḌ ke nīche
āñchal mirā lahrā.e to lagtā hai ki tum ho
chhūne se kabhī bād-e-sabā ke mire tan meñ
ik barq sī lahrā.e to lagtā hai ki tum ho
sar rakh ke jo patthar pe kabhī rāh-e-alam meñ
kuchh niiñd sī aa jaa.e to lagtā hai ki tum ho
jab shām-e-mulāqāt paḌosī ke makāñ se
āvāz koī aa.e to lagtā hai ki tum ho
jab shāna bhī karne na uThe haath hamārā
aur zulf sañvar jaa.e to lagtā hai ki tum ho
KHushbu si koi aae to lagta hai ki tum ho
shisha kahin Takrae to lagta hai ki tum ho
ehsas-e-mohabbat se kisi gosha-e-dil mein
jab choT ubhar aae to lagta hai ki tum ho
pur-kaif hawa mein jo kisi peD ke niche
aanchal mera lahrae to lagta hai ki tum ho
chhune se kabhi baad-e-saba ke mere tan mein
ek barq si lahrae to lagta hai ki tum ho
sar rakh ke jo patthar pe kabhi rah-e-alam mein
kuchh nind si aa jae to lagta hai ki tum ho
jab sham-e-mulaqat paDosi ke makan se
aawaz koi aae to lagta hai ki tum ho
jab shana bhi karne na uThe hath hamara
aur zulf sanwar jae to lagta hai ki tum ho
- Book : bu-e-saman (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.