Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kina jo tere dil mein bhara hai so kidhar jae

Mohammad Amaan Nisar

kina jo tere dil mein bhara hai so kidhar jae

Mohammad Amaan Nisar

MORE BYMohammad Amaan Nisar

    kiina jo tire dil meñ bharā hai so kidhar jaa.e

    mumkin hai kahīñ sañg ke pahlū se sharar jaa.e

    taḌpūñ huuñ tamāshe ko mire haT ke khaḌā ho

    dāman ko sambhāl apne mire ḳhuuñ se na bhar jaa.e

    kahtā hai koī barq koī shola-e-ātish

    ik dam Thahar jaa.e to ik baat Thahar jaa.e

    mat muñh se 'nisār' apne ko ai jaan burā kah

    hai sāhab-e-ġhairat kahīñ kuchh khā ke na mar jaa.e

    kina jo tere dil mein bhara hai so kidhar jae

    mumkin hai kahin sang ke pahlu se sharar jae

    taDpun hun tamashe ko mere haT ke khaDa ho

    daman ko sambhaal apne mere KHun se na bhar jae

    kahta hai koi barq koi shola-e-atish

    ek dam tu Thahar jae to ek baat Thahar jae

    mat munh se 'nisar' apne ko ai jaan bura kah

    hai sahab-e-ghairat kahin kuchh kha ke na mar jae

    Source :
    • Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 92)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now