kis ne di aawaz sipar ki oT mein tha
kis ne dī āvāz ''sipar kī oT meñ thā''
merā sar to us ke sar kī oT meñ thā
maiñ ne saat parinde uḌte dekhe the
ek parinda aur shajar kī oT meñ thā
maidānoñ shahroñ meñ log salāmat haiñ
marne vaalā apne ghar kī oT meñ thā
yuuñ jaagī hai aag sabhī dālānoñ meñ
jaise koī haath sharar kī oT meñ thā
kyuuñ āñhkeñ ummīdoñ kī mehmān rahīñ
shāyad koī ḳhvāb safar kī oT meñ thā
aaj khulā dushman ke pīchhe dushman the
aur vo lashkar is lashkar kī oT meñ thā
'sājid' aaj hunar hai us ke saa.e meñ
lekin kal fankār hunar kī oT meñ thā
kis ne di aawaz sipar ki oT mein tha
mera sar to us ke sar ki oT mein tha
main ne sat parinde uDte dekhe the
ek parinda aur shajar ki oT mein tha
maidanon shahron mein log salamat hain
marne wala apne ghar ki oT mein tha
yun jagi hai aag sabhi dalanon mein
jaise koi hath sharar ki oT mein tha
kyun aanhken ummidon ki mehman rahin
shayad koi KHwab safar ki oT mein tha
aaj khula dushman ke pichhe dushman the
aur wo lashkar is lashkar ki oT mein tha
'sajid' aaj hunar hai us ke sae mein
lekin kal fankar hunar ki oT mein tha
- Book : meyaar (Pg. 383)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.