Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis tarah par aise bad-KHu se safai kijiye

Rajab Ali Beg Suroor

kis tarah par aise bad-KHu se safai kijiye

Rajab Ali Beg Suroor

MORE BYRajab Ali Beg Suroor

    kis tarah par aise bad-ḳhū se safā.ī kījiye

    jis tīnat meñ yahī ho kaj-adā.ī kījiye

    jab masīhā ho marzī kaj-adā.ī kījiye

    is jagah kyā dard-e-dil phir davā.ī kījiye

    us se khiñch rahtā huuñ jab tab ye kahe hai mujh se dil

    āshiqī kījiye mīrzā.ī kījiye

    gar ye dil apnā kahe meñ apne hove nāsehā

    baiTh kar kunj-e-qanā.at meñ ḳhudā.ī kījiye

    kyā yahī thī shart kuchh insāf ai tund-ḳhū

    jo bhalā ho aap se us se burā.ī kījiye

    vo bhalā-chañgā huā bargashta mujh se aur bhī

    kyā bayāñ naale apne nā-rasā.ī kījiye

    khā gayā laġhzish qadam aisā butoñ ko dekh kar

    meñ ye aayā ki tark-e-pārsā.ī kījiye

    aks ho mālūm us ghar baiThe ai 'surūr'

    pahle zañg-e-dil jab apne safā.ī kījiye

    kis tarah par aise bad-KHu se safai kijiye

    jis ki tinat mein yahi ho kaj-adai kijiye

    jab masiha ki ho marzi kaj-adai kijiye

    is jagah kya dard-e-dil ki phir dawai kijiye

    us se khinch rahta hun jab tab ye kahe hai mujh se dil

    aashiqi ya kijiye ya mirzai kijiye

    gar ye dil apna kahe mein apne howe naseha

    baiTh kar kunj-e-qanaat mein KHudai kijiye

    kya yahi thi shart kuchh insaf ki ai tund-KHu

    jo bhala ho aap se us se burai kijiye

    wo bhala-changa hua bargashta mujh se aur bhi

    kya bayan nale ki apne na-rasai kijiye

    kha gaya laghzish qadam aisa buton ko dekh kar

    ji mein ye aaya ki tark-e-parsai kijiye

    aks ho malum us ka ghar hi baiThe ai 'surur'

    pahle zang-e-dil ki jab apne safai kijiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now