kisi ke sath na hone ke dukh bhi jhele hain
kisī ke saath na hone ke dukh bhī jhele haiñ
kisī ke saath magar aur bhī akele haiñ
ab is ke baad na jaane nasīb meñ kyā hai
na saath aao hamāre bahut jhamele haiñ
kahāñ hai yaad milā koī kab to kab bichhḌā
ham apne dhyān se utre hue se mele haiñ
kaho na mujh se ki chalte haiñ ab mileñge phir
ye khel vo haiñ ki sadiyoñ se log khele haiñ
jo ghar meñ jā.ūñ to āvāz tak nahīñ koī
galī meñ aa.uuñ to har sū sadā ke rele haiñ
jo log bhūl-bhulayyāñ haiñ 'talḳh' ab apnī
nahīñ vo sirf akele bahut akele haiñ
kisi ke sath na hone ke dukh bhi jhele hain
kisi ke sath magar aur bhi akele hain
ab is ke baad na jaane nasib mein kya hai
na sath aao hamare bahut jhamele hain
kahan hai yaad mila koi kab to kab bichhDa
hum apne dhyan se utre hue se mele hain
kaho na mujh se ki chalte hain ab milenge phir
ye khel wo hain ki sadiyon se log khele hain
jo ghar mein jaun to aawaz tak nahin koi
gali mein aaun to har su sada ke rele hain
jo log bhul-bhulayyan hain 'talKH' ab apni
nahin wo sirf akele bahut akele hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.