kitne bhule hue naghmat sunane aae
kitne bhūle hue naġhmāt sunāne aa.e
phir tire ḳhvāb mujhe mujh se churāne aa.e
phir dhanak-rañg tamannāoñ ne gherā mujh ko
phir tire ḳhat mujhe dīvāna banāne aa.e
phir tirī yaad meñ āñkheñ huiiñ shabnam shabnam
phir vahī niiñd na aane ke zamāne aa.e
phir tirā zikr kiyā bād-e-sabā ne mujh se
phir mire dil ko dhaḌakne ke bahāne aa.e
phir mire kāsa-e-ḳhālī kā muqaddar jaagā
phir mire haath mohabbat ke ḳhazāne aa.e
shart sailāb samone kī lagā rakkhī thī
aur do ashk bhī ham se na chhupāne aa.e
kitne bhule hue naghmat sunane aae
phir tere KHwab mujhe mujh se churane aae
phir dhanak-rang tamannaon ne ghera mujh ko
phir tere KHat mujhe diwana banane aae
phir teri yaad mein aankhen huin shabnam shabnam
phir wahi nind na aane ke zamane aae
phir tera zikr kiya baad-e-saba ne mujh se
phir mere dil ko dhaDakne ke bahane aae
phir mere kasa-e-KHali ka muqaddar jaga
phir mere hath mohabbat ke KHazane aae
shart sailab samone ki laga rakkhi thi
aur do ashk bhi hum se na chhupane aae
- Book : Rat jage (Pg. 80)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.