koi ada jo kahin apne-pan si pata hun
koī adā jo kahīñ apne-pan sī paatā huuñ
dayār-e-ġhair meñ ThanDak vatan sī paatā huuñ
maiñ jab bhī tajziya kartā huuñ terā ai duniyā
is ā.īñe meñ tujhe bad-chalan sī paatā huuñ
ḳhudā kare ki mire dost ḳhairiyat se hoñ
ajiib tarah kī dil meñ chubhan sī paatā huuñ
badalne vaalā hai shāyad mizāj mausam kā
jabīn-e-vaqt ko maiñ pur-shikan sī paatā huuñ
sukūn miltā hai yāroñ se ma.azarat kar ke
ta.alluqāt meñ jab bhī ghuTan sī paatā huuñ
ḳhudā hī rakkhe mire kārvāñ kī ḳhair ab to
ki rāhbar meñ adā rāhzan sī paatā huuñ
maiñ dushmanoñ meñ nahīñ dostoñ meñ huuñ 'mājid'
yahāñ to aur ziyāda ghuTan sī paatā huuñ
koi ada jo kahin apne-pan si pata hun
dayar-e-ghair mein ThanDak watan si pata hun
main jab bhi tajziya karta hun tera ai duniya
is aaine mein tujhe bad-chalan si pata hun
KHuda kare ki mere dost KHairiyat se hon
ajib tarah ki dil mein chubhan si pata hun
badalne wala hai shayad mizaj mausam ka
jabin-e-waqt ko main pur-shikan si pata hun
sukun milta hai yaron se mazarat kar ke
talluqat mein jab bhi ghuTan si pata hun
KHuda hi rakkhe mere karwan ki KHair ab to
ki rahbar mein ada rahzan si pata hun
main dushmanon mein nahin doston mein hun 'majid'
yahan to aur ziyaada ghuTan si pata hun
- Book : Shaakh-e-Dil (Pg. 89)
- Author : Dr. Majid Deobandi
- Publication : Anjum Book Depot, Delhi-6 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.