Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi rakhta hi nahin phir bhi raha karta hai

Tarkash Pradeep

koi rakhta hi nahin phir bhi raha karta hai

Tarkash Pradeep

MORE BYTarkash Pradeep

    koī rakhtā nahīñ phir bhī rahā kartā hai

    ai mire dil bhalā hai so bhalā kartā hai

    tum ne to aap piñjre ko khulā chhoḌ diyā

    koī aise bhī parindoñ ko rihā kartā hai

    us har baat bhulā denā zarūrat hai mirī

    phir bhī jo dil hai use yaad sivā kartā hai

    ab vo pahle se manāzir bhī nazar aa.eñ kyā

    vo kinhī aur nigāhoñ se takā kartā hai

    kyā kabhī tum ne kisī Thag se mohabbat hai

    ek 'tarkash' hai jo dillī meñ huā kartā hai

    koi rakhta hi nahin phir bhi raha karta hai

    ai mere dil tu bhala hai so bhala karta hai

    tum ne to aap hi pinjre ko khula chhoD diya

    koi aise bhi parindon ko riha karta hai

    us ki har baat bhula dena zarurat hai meri

    phir bhi jo dil hai use yaad siwa karta hai

    ab wo pahle se manazir bhi nazar aaen kya

    wo kinhi aur nigahon se taka karta hai

    kya kabhi tum ne kisi Thag se mohabbat ki hai

    ek 'tarkash' hai jo dilli mein hua karta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now