Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh husn-e-wafa ke diwane phir ishq ki rah mein kaam aae

Naim Siddiqi

kuchh husn-e-wafa ke diwane phir ishq ki rah mein kaam aae

Naim Siddiqi

MORE BYNaim Siddiqi

    kuchh husn-e-vafā ke dīvāne phir ishq raah meñ kaam aa.e

    ai kaash tamāshā karne ko ḳhud bhī kanār-e-bām aa.e

    alfāz na the āvāz na thī naama bhī na thā qāsid bhī na thā

    aise bhī ka.ī paiġhām ga.e aise bhī ka.ī paiġhām aa.e

    shab mai-ḳhāne mahfil meñ arbab-e-jafā zikr chalā

    chup sunte rahe ham Darte rahe terā bhī na un meñ naam aa.e

    ham garche falak-parvāz bhī haiñ aur tāroñ ke hamrāz bhī haiñ

    sayyād pe aayā rahm hameñ ḳhud shauq se zer-e-dām aa.e

    phir lāla-o-gul nagrī se iThlātī huī aa.ī hai sabā

    ai ahl-e-qafas chup-chāp suno! phūloñ ke tumheñ paiġhām aa.e

    ye baat alag hai paas rahā kuchh tishna-labī ġhairat

    ham par bhī rahā saaqī karam ham tak bhī bahut se jaam aa.e

    shab kitnī bojhal bojhal hai ham tanhā tanhā baiThe haiñ

    aise meñ tumhārī yaad aa.ī jis tarah koī ilhām aa.e

    kuchh husn-e-wafa ke diwane phir ishq ki rah mein kaam aae

    ai kash tamasha karne ko KHud tu bhi kanar-e-baam aae

    alfaz na the aawaz na thi nama bhi na tha qasid bhi na tha

    aise bhi kai paigham gae aise bhi kai paigham aae

    shab mai-KHane ki mahfil mein arbab-e-jafa ka zikr chala

    chup sunte rahe hum Darte rahe tera bhi na un mein nam aae

    hum garche falak-parwaz bhi hain aur taron ke hamraaz bhi hain

    sayyaad pe aaya rahm hamein KHud shauq se zer-e-dam aae

    phir lala-o-gul ki nagri se iThlati hui aai hai saba

    ai ahl-e-qafas chup-chap suno! phulon ke tumhein paigham aae

    ye baat alag hai pas raha kuchh tishna-labi ki ghairat ka

    hum par bhi raha saqi ka karam hum tak bhi bahut se jam aae

    shab kitni bojhal bojhal hai hum tanha tanha baiThe hain

    aise mein tumhaari yaad aai jis tarah koi ilham aae

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 115)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now