kya yahan dekhiye kya wahan dekhiye
kyā yahāñ dekhiye kyā vahāñ dekhiye
aap hī aap haiñ ab jahāñ dekhiye
ghar jalā dekhiye vo dhuāñ dekhiye
aag pahuñchī kahāñ se kahāñ dekhiye
dekhiye tā-kamar zulf kā sho.abada
uljhaneñ ban ga.iiñ dāstāñ dekhiye
mujh ko mā'lūm hai aap mā'sūm haiñ
jal gayā hogā yuuñ hī makāñ dekhiye
bujh ga.ī sham.a parvāne ruḳhsat hue
luT gayā shauq kā kārvāñ dekhiye
'ishq roz-e-azal se matā-e-yaqīñ
husn hai aaj bhī bad-gumāñ dekhiye
aa.iye mere dil meñ bhī vaqt-e-ġhazal
ek dariyā-e-ātish ravāñ dekhiye
husn kī ehtiyāt-e-hasīñ dekh kar
'ishq kā iltihāb-garāñ dekhiye
is tamāshe kā jab aap ko shauq hai
ham jalāte haiñ apnā makāñ dekhiye
ismat-e-dil hai aur ġham kā ātish-kada
aag ban jā.egī gulsitāñ dekhiye
ishtiyāq-e-jabīñ apnā dekheñge ham
aap vīrānī-e-āstāñ dekhiye
aap ke sāmne aur tāb-e-suḳhan
ḳhush-bayāñ kitne haiñ be-zabāñ dekhiye
tuur hī kī tarah jal na jaa.e kahīñ
jalva-bārī se pahle makāñ dekhiye
ramz-o-īmā ġhazal kī agar jaan haiñ
aap 'tarzī' kā husn-e-bayāñ dekhiye
kya yahan dekhiye kya wahan dekhiye
aap hi aap hain ab jahan dekhiye
ghar jala dekhiye wo dhuan dekhiye
aag pahunchi kahan se kahan dekhiye
dekhiye ta-kamar zulf ka shoabada
uljhanen ban gain dastan dekhiye
mujh ko ma'lum hai aap ma'sum hain
jal gaya hoga yun hi makan dekhiye
bujh gai shama parwane ruKHsat hue
luT gaya shauq ka karwan dekhiye
'ishq roz-e-azal se mata-e-yaqin
husn hai aaj bhi bad-guman dekhiye
aaiye mere dil mein bhi waqt-e-ghazal
ek dariya-e-atish rawan dekhiye
husn ki ehtiyat-e-hasin dekh kar
'ishq ka iltihab-garan dekhiye
is tamashe ka jab aap ko shauq hai
hum jalate hain apna makan dekhiye
ismat-e-dil hai aur gham ka aatish-kada
aag ban jaegi gulsitan dekhiye
ishtiyaq-e-jabin apna dekhenge hum
aap virani-e-astan dekhiye
aap ke samne aur tab-e-suKHan
KHush-bayan kitne hain be-zaban dekhiye
tur hi ki tarah jal na jae kahin
jalwa-bari se pahle makan dekhiye
ramz-o-ima ghazal ki agar jaan hain
aap 'tarzi' ka husn-e-bayan dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.