Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz ki qaid se riha ho ja

Tauqeer Taqi

lafz ki qaid se riha ho ja

Tauqeer Taqi

MORE BYTauqeer Taqi

    lafz qaid se rihā ho

    aa mirī aañkh se adā ho

    pheñk de ḳhushk phuul yādoñ ke

    zid na kar bhī be-vafā ho

    ḳhushk peḌoñ ko kaTnā paḌtā hai

    apne ashk harā ho

    chheḌ is habs meñ mahaktī ġhazal

    aur dar kholtī havā ho

    sañg barsā rahe haiñ shahr ke log

    bhī yuuñ haath uThā duā ho

    ḳhud ko pahchān idhar udhar na bhaTak

    apne markaz pe dā.era ho

    aur phir ho gayā maiñ ā.īna-rū

    us ne ik baar kahā ho

    kahīñ andar se aaj bhī 'tauqīr'

    ik sadā aatī hai mirā ho

    lafz ki qaid se riha ho ja

    aa meri aankh se ada ho ja

    phenk de KHushk phul yaadon ke

    zid na kar tu bhi be-wafa ho ja

    KHushk peDon ko kaTna paDta hai

    apne hi ashk pi hara ho ja

    chheD is habs mein mahakti ghazal

    aur dar kholti hawa ho ja

    sang barsa rahe hain shahr ke log

    tu bhi yun hath uTha dua ho ja

    KHud ko pahchan idhar udhar na bhaTak

    apne markaz pe daera ho ja

    aur phir ho gaya main aaina-ru

    us ne ek bar hi kaha ho ja

    kahin andar se aaj bhi 'tauqir'

    ek sada aati hai mera ho ja

    Source :
    • Book : Anaa-ul-Ishq (Pg. 27)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now