Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

larazti chhat shikasta baam-o-dar se baat karni hai

Mansoor Multani

larazti chhat shikasta baam-o-dar se baat karni hai

Mansoor Multani

MORE BYMansoor Multani

    laraztī chhat shikasta bām-o-dar se baat karnī hai

    mujhe tanhā.ī meñ kuchh apne ghar se baat karnī hai

    bikharne ke marāhil meñ sahārā kyuuñ diyā mujh ko

    mirī miTTī ne dast-e-kūza-gar se baat karnī hai

    kiyā thā jaan de ke ham ne kār-e-āshiyāñ-bandī

    jalāyā kis liye barq-o-sharar se baat karnī hai

    muqābil husn jab aa.e sitam-zādoñ mahfil meñ

    zabāñ ko qaid karnā hai nazar se baat karnī hai

    badal Daalā hai duniyā ko jo fir.aunoñ bastī meñ

    ḳhudā ne aaj shāyad phir bashar se baat karnī hai

    mire paañv meñ Daalī hai ye zanjīr-e-āsā.ish

    jo saa.e bāñTtā hai us shajar se baat karnī hai

    jo mujh meñ dūsrā hai sab jise 'mansūr' kahte haiñ

    mujhe bhī aaj us shorīda-sar se baat karnī hai

    larazti chhat shikasta baam-o-dar se baat karni hai

    mujhe tanhai mein kuchh apne ghar se baat karni hai

    bikharne ke marahil mein sahaara kyun diya mujh ko

    meri miTTi ne dast-e-kuza-gar se baat karni hai

    kiya tha jaan de ke hum ne kar-e-ashiyan-bandi

    jalaya kis liye barq-o-sharar se baat karni hai

    muqabil husn jab aae sitam-zadon ki mahfil mein

    zaban ko qaid karna hai nazar se baat karni hai

    badal Dala hai duniya ko jo firaunon ki basti mein

    KHuda ne aaj shayad phir bashar se baat karni hai

    mere panw mein Dali hai ye zanjir-e-asaish

    jo sae banTta hai us shajar se baat karni hai

    jo mujh mein dusra hai sab jise 'mansur' kahte hain

    mujhe bhi aaj us shorida-sar se baat karni hai

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 687)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now