Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

le ke dil us shoKH ne ek dagh sine par diya

Bayan Ahsanullah Khan

le ke dil us shoKH ne ek dagh sine par diya

Bayan Ahsanullah Khan

MORE BYBayan Ahsanullah Khan

    le ke dil us shoḳh ne ik daaġh siine par diyā

    jo liyā us evaz us se mujhe behtar diyā

    duur tujh se sāġhar-e-mai par nazar maiñ ne jo

    kaasa apnā chashm ne ḳhūnāb-e-dil se bhar diyā

    jo sulūk ab dil meñ aaveñ kar mujhe taqdīr ne

    dast o baazū bāñdh kar tere havāle kar diyā

    dilbaroñ ke shahr meñ begānagī andher hai

    āshnā.ī DhūñDtā phirtā huuñ maiñ le kar diyā

    baaze auqāt rāhat ham ko hai charḳh ne

    ranj o ġham us sitamgar ne 'bayāñ' aksar diyā

    le ke dil us shoKH ne ek dagh sine par diya

    jo liya us ka ewaz us se mujhe behtar diya

    dur tujh se saghar-e-mai par nazar main ne jo ki

    kasa apna chashm ne KHunab-e-dil se bhar diya

    jo suluk ab dil mein aawen kar mujhe taqdir ne

    dast o bazu bandh kar tere hawale kar diya

    dilbaron ke shahr mein beganagi andher hai

    aashnai DhunDta phirta hun main le kar diya

    baze hi auqat rahat hum ko di hai charKH ne

    ranj o gham hi us sitamgar ne 'bayan' aksar diya

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now