mahaul munasib ho to upar nahin jate
māhaul munāsib ho to uupar nahīñ jaate
ham taaza ghuTan chhoḌ ke chhat par nahīñ jaate
dekho mujhe ab merī jagah se na hilānā
phir tum mujhe tartīb se rakh kar nahīñ jaate
badnām haiñ sadiyoñ se hī kāñToñ kī vajah se
aadat se magar aaj bhī kīkar nahīñ jaate
jis din se shikārī ne adā kī koī mannat
darbār pe us din se kabūtar nahīñ jaate
so tum mujhe hairat-zada āñkhoñ se na dekho
kuchh log sañbhal jaate haiñ sab mar nahīñ jaate
mahaul munasib ho to upar nahin jate
hum taza ghuTan chhoD ke chhat par nahin jate
dekho mujhe ab meri jagah se na hilana
phir tum mujhe tartib se rakh kar nahin jate
badnam hain sadiyon se hi kanTon ki wajah se
aadat se magar aaj bhi kikar nahin jate
jis din se shikari ne ada ki koi mannat
darbar pe us din se kabutar nahin jate
so tum mujhe hairat-zada aankhon se na dekho
kuchh log sanbhal jate hain sab mar nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.