mah-o-anjum ne qaba ki to tumhaare liye ki
mah-o-anjum ne qabā kī to tumhāre liye kī
chāñd chehroñ pe ridā kī to tumhāre liye kī
vo bhī thā mauj meñ ye dil bhī bahakne hī ko thā
apne hāthoñ ne hayā kī to tumhāre liye kī
koh-o-sahrā meñ bhaTakte sar-e-sāhil phirte
maiñ ne har gaam sadā kī to tumhāre liye kī
dil ke is tapte hue tund bayābāñ ke biich
maiñ ne ik nahr banā kī to tumhāre liye kī
mujh se thā barsar-e-kīñ rabt-e-nihāñ tum se thā
dil ne gar tum se vafā kī to tumhāre liye kī
raat mavvāj thī jab haath uThe us ke huzūr
sab se pahle jo duā kī to tumhāre liye kī
maiñ kahāñ aur kahāñ shā.erī maiñ ne to faqat
majlis-e-sher bapā kī to tumhāre liye kī
mah-o-anjum ne qaba ki to tumhaare liye ki
chand chehron pe rida ki to tumhaare liye ki
wo bhi tha mauj mein ye dil bhi bahakne hi ko tha
apne hathon ne haya ki to tumhaare liye ki
koh-o-sahra mein bhaTakte sar-e-sahil phirte
main ne har gam sada ki to tumhaare liye ki
dil ke is tapte hue tund bayaban ke bich
main ne ek nahr bana ki to tumhaare liye ki
mujh se tha barsar-e-kin rabt-e-nihan tum se tha
dil ne gar tum se wafa ki to tumhaare liye ki
raat mawwaj thi jab hath uThe us ke huzur
sab se pahle jo dua ki to tumhaare liye ki
main kahan aur kahan shaeri main ne to faqat
majlis-e-sher bapa ki to tumhaare liye ki
- Book : Pakistani Adab (Pg. 392)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.