main jis KHwab mein rahta hun pahle us KHwab tak aaya wo
maiñ jis ḳhvāb meñ rahtā huuñ pahle us ḳhvāb tak aayā vo
phir us ḳhvāb se dil ke raste merī kitāb tak aayā vo
mai-ḳhāne tak jaane kā phir hosh bhalā kis ko rahtā
jis mastī meñ saath mire is shahr-e-sharāb tak aayā vo
kitnī pyaas aur kitnī masāfat un āñkhoñ meñ likkhī thī
ek sarāb se niklā to ik aur sarāb tak aayā vo
us ke ba.ad to jo karnā thā aap janāb ne karnā thā
us kī to me.arāj yahī thī aap janāb tak aayā vo
us kī ḳhātir chashm o dil o jaañ farsh-e-rāh to karnā tujhe
us jañgal meñ 'ḳhāvar' mujh se ḳhāna-ḳharāb tak aayā vo
main jis KHwab mein rahta hun pahle us KHwab tak aaya wo
phir us KHwab se dil ke raste meri kitab tak aaya wo
mai-KHane tak jaane ka phir hosh bhala kis ko rahta
jis masti mein sath mere is shahr-e-sharab tak aaya wo
kitni pyas aur kitni masafat un aankhon mein likkhi thi
ek sarab se nikla to ek aur sarab tak aaya wo
us ke baad to jo karna tha aap janab ne karna tha
us ki to mearaj yahi thi aap janab tak aaya wo
us ki KHatir chashm o dil o jaan farsh-e-rah to karna tujhe
us jangal mein 'KHawar' mujh se KHana-KHarab tak aaya wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.