main pareshan hun milen chand niwale kaise
maiñ pareshāñ huuñ mileñ chand nivāle kaise
us ko daulat vo milī hai ki sambhāle kaise
uñgliyāñ apnī nagīnoñ se sajāne vaale
tujh ko lagte haiñ mire haath ke chhāle kaise
ilm se pher liiñ tū ne jo nigāheñ apnī
phir tire zehn meñ phūTeñge ujāle kaise
dekhte rah ga.e paanī kī ravānī ham log
rāste logoñ ne dariyā meñ nikāle kaise
umr lag jaatī hai ik ghar ko banāne meñ hameñ
makaḌiyāñ roz hī bun letī haiñ jaale kaise
tū ne 'aḳhlāq' qasam khaa.ī thī zabt-e-ġham kī
phir ye palkoñ pe namī hoñToñ pe naale kaise
main pareshan hun milen chand niwale kaise
us ko daulat wo mili hai ki sambhaale kaise
ungliyan apni naginon se sajaane wale
tujh ko lagte hain mere hath ke chhaale kaise
ilm se pher lin tu ne jo nigahen apni
phir tere zehn mein phuTenge ujale kaise
dekhte rah gae pani ki rawani hum log
raste logon ne dariya mein nikale kaise
umr lag jati hai ek ghar ko banane mein hamein
makaDiyan roz hi bun leti hain jale kaise
tu ne 'aKHlaq' qasam khai thi zabt-e-gham ki
phir ye palkon pe nami honTon pe nale kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.