Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mata-e-dard ka KHugar meri talash mein hai

Haidar Ali Jafri

mata-e-dard ka KHugar meri talash mein hai

Haidar Ali Jafri

MORE BYHaidar Ali Jafri

    matā-e-dard ḳhūgar mirī talāsh meñ hai

    kisī bhejā payambar mirī talāsh meñ hai

    huuñ maiñ nuqta-e-āġhāz iḳhtitām-e-hisār

    har ik hisār mehvar mirī talāsh meñ hai

    milī hai auj ḳhudī ko yaqīn-e-mohkam se

    sunā hai marzī-e-dāvar mirī talāsh meñ hai

    vo ek sa.ī jise kahte haiñ ham sabhī idrāk

    vo mere jism ke andar mirī talāsh meñ hai

    sabhī to dost haiñ kyuuñ shak abas huā mujh ko

    kisī ke haath patthar mirī talāsh meñ hai

    mire ḳhudā maiñ huuñ tujh se panāh tālib

    mire gunāhoñ lashkar mirī talāsh meñ hai

    mire lams se ġhunchoñ ne paa.ī shādābī

    chaman meñ khiltā gul-e-tar mirī talāsh meñ hai

    kahīñ se sun liyā hai merī pyaas charchā

    tabhī se pyāsā samundar mirī talāsh meñ hai

    lagā hai sochne ahd-e-ravāñ 'marhab' bhī

    bachūñgā kis tarah 'haidar' mirī talāsh meñ hai

    mata-e-dard ka KHugar meri talash mein hai

    kisi ka bheja payambar meri talash mein hai

    hun main hi nuqta-e-aghaz iKHtitam-e-hisar

    har ek hisar ka mehwar meri talash mein hai

    mili hai auj KHudi ko yaqin-e-mohkam se

    suna hai marzi-e-dawar meri talash mein hai

    wo ek sai jise kahte hain hum sabhi idrak

    wo mere jism ke andar meri talash mein hai

    sabhi to dost hain kyun shak abas hua mujh ko

    kisi ke hath ka patthar meri talash mein hai

    mere KHuda main hun tujh se panah ka talib

    mere gunahon ka lashkar meri talash mein hai

    mere hi lams se ghunchon ne pai shadabi

    chaman mein khilta gul-e-tar meri talash mein hai

    kahin se sun liya hai meri pyas ka charcha

    tabhi se pyasa samundar meri talash mein hai

    laga hai sochne ahd-e-rawan ka 'marhab' bhi

    bachunga kis tarah 'haidar' meri talash mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now