matlab ka koi sher sunaen jahan-panah
matlab kā koī sher sunā.eñ jahāñ-panāh
ham sāma.īñ pe qahr na Dhā.eñ jahāñ-panāh
bachchoñ ko bhūke peT sulāne ke baad ham
kaise ġhazal ke sher sunā.eñ jahāñ-panāh
har sū bikhertā ho barābar sī raushnī
aisā bhī ik charāġh jalā.eñ jahāñ-panāh
parde ke pīchhe baiTh ke kheleñge kab talak
parde ke sāmne bhī to aa.eñ jahāñ-panāh
gar jaan kī amaañ ho to darḳhvāst hai mirī
phūloñ ko ḳhaar se na milā.eñ jahāñ-panāh
matlab ka koi sher sunaen jahan-panah
hum samain pe qahr na Dhaen jahan-panah
bachchon ko bhuke peT sulane ke baad hum
kaise ghazal ke sher sunaen jahan-panah
har su bikherta ho barabar si raushni
aisa bhi ek charagh jalaen jahan-panah
parde ke pichhe baiTh ke khelenge kab talak
parde ke samne bhi to aaen jahan-panah
gar jaan ki aman ho to darKHwast hai meri
phulon ko KHar se na milaen jahan-panah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.