mauj-e-sarsar ki tarah dil se guzar jaoge
mauj-e-sarsar kī tarah dil se guzar jāoge
kis ko mā'lūm thā tum dil meñ utar jāoge
chār-sū vaqt kī gardish kī fasīl-e-shab hai
bach ke is gardish-e-daurāñ se kidhar jāoge
ā.īna-ḳhāne se dāman ko bachā kar guzro
ā.īna TuuTā to rezoñ meñ bikhar jāoge
ik zarā aur qarīb-e-rag-e-jāñ aao to
mere ḳhūñ-nāb meñ tum Dhal ke sañvar jāoge
dekho vo chāñd sisaktā hai ufuq kī had par
tum bhī is chāñd kī mānind guzar jāoge
is bharī bazm se hañs-bol ke ruḳhsat ho lo
kal jo uTThoge to bā-dīda-e-tar jāoge
mauj-e-sarsar ki tarah dil se guzar jaoge
kis ko ma'lum tha tum dil mein utar jaoge
chaar-su waqt ki gardish ki fasil-e-shab hai
bach ke is gardish-e-dauran se kidhar jaoge
aaina-KHane se daman ko bacha kar guzro
aaina TuTa to rezon mein bikhar jaoge
ek zara aur qarib-e-rag-e-jaan aao to
mere KHun-nab mein tum Dhal ke sanwar jaoge
dekho wo chand sisakta hai ufuq ki had par
tum bhi is chand ki manind guzar jaoge
is bhari bazm se hans-bol ke ruKHsat ho lo
kal jo uTThoge to ba-dida-e-tar jaoge
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 166)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.