mausam-e-yaad yun ujlat mein na ware jaen
mausam-e-yād yuuñ ujlat meñ na vaare jaa.eñ
ham vo lamhe haiñ jo fursat se guzāre jaa.eñ
ho ke rusvā vo huā jis kī kabhī hasrat thī
ham tire naam se mahfil meñ pukāre jaa.eñ
aap kā husn hai jitnā bhī numā.ish kiije
haañ bas itnā hai ki ma.asūm na maare jaa.eñ
yaañ se ab rāh-e-adam sū-e-falak jaatī hai
aa.iye paañv havāoñ meñ utāre jaa.eñ
ik tire naam kā thā saath ki ab vo bhī nahīñ
ab tire shahr bhalā kis ke sahāre jaa.eñ
ḳhāmushī toḌ ke sar le lī ye kaisī vahshat
aisā lagtā hai ki bas tum ko pukāre jaa.eñ
ho chukā tañg maiñ zindān-e-ḳhamoshāñ se bahut
kuchh parinde hī mirī chhat pe utāre jaa.eñ
zindagī bhī to kabhī maujoñ se laḌ kar dekhe
sirf kyā ham ko ġharaz hai ki kināre jaa.eñ
aaj kī raat añdheroñ kī hai darkār mujhe
aaj kī raat mirī chhat se sitāre jaa.eñ
mausam-e-yaad yun ujlat mein na ware jaen
hum wo lamhe hain jo fursat se guzare jaen
ho ke ruswa wo hua jis ki kabhi hasrat thi
hum tere nam se mahfil mein pukare jaen
aap ka husn hai jitna bhi numaish kije
han bas itna hai ki masum na mare jaen
yan se ab rah-e-adam su-e-falak jati hai
aaiye panw hawaon mein utare jaen
ek tere nam ka tha sath ki ab wo bhi nahin
ab tere shahr bhala kis ke sahaare jaen
KHamushi toD ke sar le li ye kaisi wahshat
aisa lagta hai ki bas tum ko pukare jaen
ho chuka tang main zindan-e-KHamoshan se bahut
kuchh parinde hi meri chhat pe utare jaen
zindagi bhi to kabhi maujon se laD kar dekhe
sirf kya hum ko gharaz hai ki kinare jaen
aaj ki raat andheron ki hai darkar mujhe
aaj ki raat meri chhat se sitare jaen
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 23)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.