mera saya hai mere sath jahan jaun main
merā saaya hai mire saath jahāñ jā.ūñ maiñ
bebasī tū hī batā ḳhud ko kahāñ pā.ūñ maiñ
be-gharī mujh se pata pūchh rahī hai merā
dar-ba-dar pūchhtā phirtā huuñ kahāñ jā.ūñ maiñ
zaḳhm kī baat bhī hotī to koī baat na thī
dil nahīñ phuul ki har shaḳhs ko dikhlā.ūñ maiñ
zindagī kaun se nā-karda gunah kī hai sazā
ḳhud nahīñ jāntā kyā auroñ ko batlā.ūñ maiñ
ek hammām meñ tabdīl huī hai duniyā
sab hī nañge haiñ kise dekh ke sharmā.ūñ maiñ
mera saya hai mere sath jahan jaun main
bebasi tu hi bata KHud ko kahan paun main
be-ghari mujh se pata puchh rahi hai mera
dar-ba-dar puchhta phirta hun kahan jaun main
zaKHm ki baat bhi hoti to koi baat na thi
dil nahin phul ki har shaKHs ko dikhlaun main
zindagi kaun se na-karda gunah ki hai saza
KHud nahin jaanta kya auron ko batlaun main
ek hammam mein tabdil hui hai duniya
sab hi nange hain kise dekh ke sharmaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.