meri mahfil mein agar chand sitare hote
merī mahfil meñ agar chāñd sitāre hote
vo bhī qurbān mirī jaan tumhāre hote
mujh ko sahrāoñ se jaane kī ijāzat hotī
phir ye dariyā na samundar na kināre hote
vo to bas jhūTī tasallī ko kahā thā tum se
ham to apne bhī nahīñ, ḳhaak tumhāre hote
un ke pīchhe bhī koī ġham kā samundar hogā
varna aañsū na kabhī aañkh meñ khāre hote
tere va.adoñ ko bhī bachchoñ kī tarah se rakhtā
mujh se hote to sabhī raaj dulāre hote
tum nahīñ the to mirī rah ga.ī izzat 'aḳhtar'
maiñ to paḌ jaatā agar paañv tumhāre hote
baat saada thī magar der meñ samjhe 'aḳhtar'
duur kyuuñ hote agar paas tumhāre hote
meri mahfil mein agar chand sitare hote
wo bhi qurban meri jaan tumhaare hote
mujh ko sahraon se jaane ki ijazat hoti
phir ye dariya na samundar na kinare hote
wo to bas jhuTi tasalli ko kaha tha tum se
hum to apne bhi nahin, KHak tumhaare hote
un ke pichhe bhi koi gham ka samundar hoga
warna aansu na kabhi aankh mein khaare hote
tere wadon ko bhi bachchon ki tarah se rakhta
mujh se hote to sabhi raj dulare hote
tum nahin the to meri rah gai izzat 'aKHtar'
main to paD jata agar panw tumhaare hote
baat sada thi magar der mein samjhe 'aKHtar'
dur kyun hote agar pas tumhaare hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.