mil bhi jata jo kahin aab-e-baqa kya karte
Interesting Fact
12 July, 1992
mil bhī jaatā jo kahīñ āb-e-baqā kyā karte
zindagī ḳhud bhī thī jiine kī sazā kyā karte
sarhadeñ vo na sahī apnī hadoñ se bāhar
jo bhī mumkin thā kyā us ke sivā kyā karte
ham sarāboñ meñ sadā phuul khilāte guzre
ye bhī thā ābla-pā.ī kā salā kyā karte
jis ko mauhūm lakīroñ kā muraqqa.a kahiye
lauh-e-dil par thā yahī naqsh-e-vafā kyā karte
ab vo shāloñ kā qafas ho ki lahū kī ḳhushbū
dil pe lahrātī rahī barq-e-adā kyā karte
māñgne ko to yahāñ apne sivā kuchh bhī na thā
lab pe aatā bhī agar harf-e-duā kyā karte
ham ko ḳhud 'arz-e-tamannā kā salīqa bhī na thā
vo bhī 'tanvīr' bhalā uzr-e-jafā kyā karte
mil bhi jata jo kahin aab-e-baqa kya karte
zindagi KHud bhi thi jine ki saza kya karte
sarhaden wo na sahi apni hadon se bahar
jo bhi mumkin tha kya us ke siwa kya karte
hum sarabon mein sada phul khilate guzre
ye bhi tha aabla-pai ka sala kya karte
jis ko mauhum lakiron ka muraqqa kahiye
lauh-e-dil par tha yahi naqsh-e-wafa kya karte
ab wo shaalon ka qafas ho ki lahu ki KHushbu
dil pe lahraati rahi barq-e-ada kya karte
mangne ko to yahan apne siwa kuchh bhi na tha
lab pe aata bhi agar harf-e-dua kya karte
hum ko KHud 'arz-e-tamanna ka saliqa bhi na tha
wo bhi 'tanwir' bhala uzr-e-jafa kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.