mera guman hai shayad ye waqia ho jae
mirā gumān hai shāyad ye vāqi.a ho jaa.e
ki shaam mujh meñ Dhale aur sab fanā ho jaa.e
ho baat us se kuchh aise ki vaqt sākit ho
kalām apnā takallum se māvarā ho jaa.e
bachā ke aañkh maiñ ḳhud apnī khoj meñ niklūñ
mire vajūd meñ ek chor rāsta ho jaa.e
kuchh is tarah vo nigāh-e-ḳhayāl meñ utre
ki us ke aage jhukūñ aur vo ḳhudā ho jaa.e
atā ho chashm-e-tamannā ko vo qarīna-e-dīd
ki shauq dast-e-taqāzā se mā-sivā huā jaa.e
rahe ye tishna-labī dasht-e-shauq meñ qaa.em
vo intihā.eñ mileñ merī ibtidā ho jaa.e
nasīb ho kabhī aisī bhī ik sahar 'āsim'
ki shām-e-hijr kī furqat kā sāneha ho jaa.e
mera guman hai shayad ye waqia ho jae
ki sham mujh mein Dhale aur sab fana ho jae
ho baat us se kuchh aise ki waqt sakit ho
kalam apna takallum se mawara ho jae
bacha ke aankh main KHud apni khoj mein niklun
mere wajud mein ek chor rasta ho jae
kuchh is tarah wo nigah-e-KHayal mein utre
ki us ke aage jhukun aur wo KHuda ho jae
ata ho chashm-e-tamanna ko wo qarina-e-did
ki shauq dast-e-taqaza se ma-siwa hua jae
rahe ye tishna-labi dasht-e-shauq mein qaem
wo intihaen milen meri ibtida ho jae
nasib ho kabhi aisi bhi ek sahar 'asim'
ki sham-e-hijr ki furqat ka saneha ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.