mere Thahrao ko kuchh aur bhi wusat di jae
mire Thahrāo ko kuchh aur bhī vus.at dī jaa.e
ab mujhe ḳhud se nikalne kī ijāzat dī jaa.e
maut se mil leñ kisī gosha-e-tanhā.ī meñ
zindagī se jo kisī din hameñ fursat dī jaa.e
be-ḳhad-o-ḳhāl sā ik chehrā liye phirtā huuñ
chāhtā huuñ ki mujhe shakl-o-shabāhat dī jaa.e
bhare bāzār meñ baiThā huuñ liye jins-e-vajūd
shart ye hai ki mirī ḳhaak kī qīmat dī jaa.e
bas ki duniyā mirī āñkhoñ meñ samā jā.egī
koī din aur mire ḳhvāb ko mohlat dī jaa.e
mere Thahrao ko kuchh aur bhi wusat di jae
ab mujhe KHud se nikalne ki ijazat di jae
maut se mil len kisi gosha-e-tanhai mein
zindagi se jo kisi din hamein fursat di jae
be-KHad-o-KHal sa ek chehra liye phirta hun
chahta hun ki mujhe shakl-o-shabahat di jae
bhare bazar mein baiTha hun liye jins-e-wajud
shart ye hai ki meri KHak ki qimat di jae
bas ki duniya meri aankhon mein sama jaegi
koi din aur mere KHwab ko mohlat di jae
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 81)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 79)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.