mere wahm-o-guman se bhi ziyaada TuT jata hai
mire vahm-o-gumāñ se bhī ziyāda TuuT jaatā hai
ye dil apnī hadoñ meñ rah ke itnā TuuT jaatā hai
maiñ ro.uuñ to dar-o-dīvār mujh par hañsne lagte haiñ
hañsūñ to mere andar jaane kyā kyā TuuT jaatā hai
maiñ jis lamhe kī ḳhvāhish meñ safar kartā huuñ sadiyoñ kā
kahīñ pāñv-tale aa kar vo lamha TuuT jaatā hai
mire ḳhvāboñ kī bastī se janāze uThte jaate haiñ
mirī āñkheñ jise chhū leñ vo sapnā TuuT jaatā hai
na jaane kitnī muddat se hai dil meñ ye amal jaarī
zarā sī Thes lagtī hai zarā sā TuuT jaatā hai
dil-e-nādāñ hamārī to numū hī nā-mukammal thī
to hairat kyā jo bante hī irāda TuuT jaatā hai
muqaddar meñ mire 'sāgar' shikast-o-reḳht itnī hai
maiñ jis ko apnā kah duuñ vo sitārā TuuT jaatā hai
mere wahm-o-guman se bhi ziyaada TuT jata hai
ye dil apni hadon mein rah ke itna TuT jata hai
main roun to dar-o-diwar mujh par hansne lagte hain
hansun to mere andar jaane kya kya TuT jata hai
main jis lamhe ki KHwahish mein safar karta hun sadiyon ka
kahin panw-tale aa kar wo lamha TuT jata hai
mere KHwabon ki basti se janaze uThte jate hain
meri aankhen jise chhu len wo sapna TuT jata hai
na jaane kitni muddat se hai dil mein ye amal jari
zara si Thes lagti hai zara sa TuT jata hai
dil-e-nadan hamari to numu hi na-mukammal thi
to hairat kya jo bante hi irada TuT jata hai
muqaddar mein mere 'sagar' shikast-o-reKHt itni hai
main jis ko apna kah dun wo sitara TuT jata hai
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 119)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.