mere wajud ko usne ajab kamal diya
mire vajūd ko us ne ajab kamāl diyā
ki musht-e-ḳhāk thā aflāk par uchhāl diyā
makāñ ko jhūTe makīnoñ se paak karnā thā
so maiñ ne is se har ummīd ko nikāl diyā
mirī talab meñ takalluf bhī inkisār bhī thā
vo nukta-sanj thā sab mere hasb-e-hāl diyā
badal ke rakh diye hijr o visāl ke mafhūm
mujhe to us ne baḌī kashmakash meñ Daal diyā
maiñ us kī banda-navāzī ke ramz jāntā huuñ
ki rizq-e-shauq diyā luqma-e-halāl diyā
mire ḳhudā ne atā kī mujhe zabāñ aur phir
zabāñ ko martaba-e-jur.at-e-savāl diyā
mere wajud ko us ne ajab kamal diya
ki musht-e-KHak tha aflak par uchhaal diya
makan ko jhuTe makinon se pak karna tha
so main ne is se har ummid ko nikal diya
meri talab mein takalluf bhi inkisar bhi tha
wo nukta-sanj tha sab mere hasb-e-haal diya
badal ke rakh diye hijr o visal ke mafhum
mujhe to us ne baDi kashmakash mein Dal diya
main us ki banda-nawazi ke ramz jaanta hun
ki rizq-e-shauq diya luqma-e-halal diya
mere KHuda ne ata ki mujhe zaban aur phir
zaban ko martaba-e-jurat-e-sawal diya
- Book : Monthly Usloob (Pg. 373)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.