miTTi se baghawat na baghawat se gurezan
miTTī se baġhāvat na baġhāvat se gurezāñ
ham sahme hue log haiñ himmat se gurezāñ
ik pal kā tavaqquf bhī girāñ-bār hai tujh par
aur ham ki thake-hāre masāfat se gurezāñ
ai bhūle hue hijr kahīñ mil to sahī yaar
ik duuje se ham donoñ haiñ muddat se gurezāñ
jā tujh ko koī jism se aage na paḌhegā
ai mujh se ḳhafā merī mohabbat se gurezāñ
ai zinda bache shaḳhs ye sab le ke palaT jā
ham jañg meñ haiñ māl-e-ġhanīmat se gurezāñ
miTTi se baghawat na baghawat se gurezan
hum sahme hue log hain himmat se gurezan
ek pal ka tawaqquf bhi giran-bar hai tujh par
aur hum ki thake-haare masafat se gurezan
ai bhule hue hijr kahin mil to sahi yar
ek duje se hum donon hain muddat se gurezan
ja tujh ko koi jism se aage na paDhega
ai mujh se KHafa meri mohabbat se gurezan
ai zinda bache shaKHs ye sab le ke palaT ja
hum jang mein hain mal-e-ghanimat se gurezan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.