muddat se koi shor bapa ho nahin raha
muddat se koī shor bapā ho nahīñ rahā
aur haath hai ki dil se judā ho nahīñ rahā
ik sub.h thī jo shaam meñ tabdīl ho ga.ī
ik rang hai jo rañg-e-hinā ho nahīñ rahā
ham bhī vahī diyā bhī vahī raat bhī vahī
kyā baat hai jo raqs-e-havā ho nahīñ rahā
ham bhī kisī ḳhayāl ke sannāhaToñ meñ gum
tum se bhī pās-e-ahd-e-vafā ho nahīñ rahā
kyā chāhtī hai ham se hamārī ye zindagī
kyā qarz hai jo ham se adā ho nahīñ rahā
muddat se koi shor bapa ho nahin raha
aur hath hai ki dil se juda ho nahin raha
ek subh thi jo sham mein tabdil ho gai
ek rang hai jo rang-e-hina ho nahin raha
hum bhi wahi diya bhi wahi raat bhi wahi
kya baat hai jo raqs-e-hawa ho nahin raha
hum bhi kisi KHayal ke sannahaTon mein gum
tum se bhi pas-e-ahd-e-wafa ho nahin raha
kya chahti hai hum se hamari ye zindagi
kya qarz hai jo hum se ada ho nahin raha
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 85)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.