Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhse ye pyas ka sahra nahin dekha jata

Hamid Mukhtar Hamid

mujhse ye pyas ka sahra nahin dekha jata

Hamid Mukhtar Hamid

MORE BYHamid Mukhtar Hamid

    mujh se ye pyaas sahrā nahīñ dekhā jaatā

    roz ab ḳhvāb meñ dariyā nahīñ dekhā jaatā

    zarf aks kahīñ aur chal kar dekheñ

    ā.inoñ meñ to ye chehra nahīñ dekhā jaatā

    hañsī le ke mirī aañkh ko aañsū de de

    mujh se sūkhā huā dariyā nahīñ dekhā jaatā

    dil ke aurāq tahrīr paḌhī jaatī hai

    un ke darbār meñ sajda nahīñ dekhā jaatā

    pursish-e-ġham sabhī rasm haiñ baaqī lekin

    in charāġhoñ meñ ujālā nahīñ dekhā jaatā

    ahmiyat johd-e-musalsal nahīñ kam 'hāmid'

    sirf taqdīr likkhā nahīñ dekhā jaatā

    mujh se ye pyas ka sahra nahin dekha jata

    roz ab KHwab mein dariya nahin dekha jata

    zarf ka aks kahin aur hi chal kar dekhen

    aainon mein to ye chehra nahin dekha jata

    tu hansi le ke meri aankh ko aansu de de

    mujh se sukha hua dariya nahin dekha jata

    dil ke auraq ki tahrir paDhi jati hai

    un ke darbar mein sajda nahin dekha jata

    pursish-e-gham ki sabhi rasm hain baqi lekin

    in charaghon mein ujala nahin dekha jata

    ahmiyat johd-e-musalsal ki nahin kam 'hamid'

    sirf taqdir ka likkha nahin dekha jata

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now