mujhe to ranj qaba-ha-e-tar-tar ka hai
mujhe to rañj qabā-hā-e-tār-tār kā hai
ḳhizāñ se baḌh ke guloñ par sitam bahār kā hai
jab aa.e hosh na thā kis nagar se aa.e haiñ
chale to ilm nahīñ qasd kis dayār kā hai
bayāñ yahī sar-e-mimbar kareñge phir nukta
hamāre vāste jis par ye hukm daar kā hai
har ek zarre ko hai āftāb kī taufīq
har ek buuñd meñ imkān ābshār kā hai
agar nasha hai to saaqī kī mast āñkhoñ meñ
agar maza hai to mahbūb ke kanār kā hai
hamāre ishq kī sanjīdgī pe tanz na kar
hameñ ḳhabar hai magar mas.ala vaqār kā hai
nashāt-e-vasl ke lamhāt ḳhuub the 'shaukat'
firāq meñ bhī maza ḳhaas intizār kā hai
mujhe to ranj qaba-ha-e-tar-tar ka hai
KHizan se baDh ke gulon par sitam bahaar ka hai
jab aae hosh na tha kis nagar se aae hain
chale to ilm nahin qasd kis dayar ka hai
bayan yahi sar-e-mimbar karenge phir nukta
hamare waste jis par ye hukm dar ka hai
har ek zarre ko hai aaftab ki taufiq
har ek bund mein imkan aabshaar ka hai
agar nasha hai to saqi ki mast aankhon mein
agar maza hai to mahbub ke kanar ka hai
hamare ishq ki sanjidgi pe tanz na kar
hamein KHabar hai magar masala waqar ka hai
nashat-e-wasl ke lamhat KHub the 'shaukat'
firaq mein bhi maza KHas intizar ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.