muqabil be-murawwat aaina hone nahin deta
muqābil be-muravvat aa.ina hone nahīñ detā
koī ab ḳhud se apnā sāmnā hone nahīñ detā
bahut jhuk jhuk ke chaltā huuñ maiñ in baunoñ kī bastī meñ
ye chhoTā-pan kabhī mujh ko baḌā hone nahīñ detā
kashākash ye ajab ik ishq kī jaarī hai sadiyoñ se
fidā hotā huuñ maiñ aur vo fanā hone nahīñ detā
vahī jaane kahāñ pahuñchā.egā apne asīroñ ko
patā detā nahīñ aur lāpata hone nahīñ detā
yahī kah kar mohabbat kījiye to be-ġharaz kiije
vo ḳhud ko merī chāhat kā sila hone nahīñ detā
bahut parhez hai us ko mirā bīmār ho kar bhī
kisī sūrat mujhe apnī davā hone nahīñ detā
vo rakhtā hai mujhe is tarah apnī chust bandish meñ
kabhī mujh ko shikast-e-nā-ravā hone nahīñ detā
maiñ kab tak bakriyoñ ke vāste patte girā.uñgā
mirī lāThī ko vo ab azhdahā hone nahīñ detā
ḳhushī aur nā-ḳhushī par ab nahīñ kuchh iḳhtiyār apnā
ḳhafā kartā hai mujh ko aur ḳhafā hone nahīñ detā
hazāroñ masnadeñ ḳhālī paḌī haiñ aaj bhī lekin
judā mujh ko ye merā boriyā hone nahiñ detā
muqabil be-murawwat aaina hone nahin deta
koi ab KHud se apna samna hone nahin deta
bahut jhuk jhuk ke chalta hun main in baunon ki basti mein
ye chhoTa-pan kabhi mujh ko baDa hone nahin deta
kashakash ye ajab ek ishq ki jari hai sadiyon se
fida hota hun main aur wo fana hone nahin deta
wahi jaane kahan pahunchaega apne asiron ko
pata deta nahin aur lapata hone nahin deta
yahi kah kar mohabbat kijiye to be-gharaz kije
wo KHud ko meri chahat ka sila hone nahin deta
bahut parhez hai us ko mera bimar ho kar bhi
kisi surat mujhe apni dawa hone nahin deta
wo rakhta hai mujhe is tarah apni chust bandish mein
kabhi mujh ko shikast-e-na-rawa hone nahin deta
main kab tak bakriyon ke waste patte giraunga
meri laThi ko wo ab azhdaha hone nahin deta
KHushi aur na-KHushi par ab nahin kuchh iKHtiyar apna
KHafa karta hai mujh ko aur KHafa hone nahin deta
hazaron masnaden KHali paDi hain aaj bhi lekin
juda mujh ko ye mera boriya hone nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.