mushkilon mein muskurana sikhiye
mushkiloñ meñ muskurānā sīkhiye
phuul banjar meñ ugānā sīkhiye
jo chale parcham uThā kar dosto
saath is kā hī nibhānā sīkhiye
khiḌkiyoñ se jhāñknā be-kār hai
bārishoñ meñ bhiig jaanā sīkhiye
āñdhiyāñ jab de rahī hoñ dastakeñ
tab diye kī lau bachānā sīkhiye
taak par dhar ke usūloñ ko kabhī
naam apnā mat kamānā sīkhiye
ḳhāmushī se aaj suntā kaun hai
shor mahfil meñ machānā sīkhiye
Dāliye dariyā meñ yuuñ mat nekiyāñ
ab bhalā karke jatānā sīkhiye
taan ke rakhiye ise har-dam magar
us ke dar pe sar jhukānā sīkhiye
un kī yādoñ se huī nam aañkh ko
aap duniyā se chhupānā sīkhiye
mushkilon mein muskurana sikhiye
phul banjar mein ugana sikhiye
jo chale parcham uTha kar dosto
sath is ka hi nibhana sikhiye
khiDkiyon se jhankna be-kar hai
barishon mein bhig jaana sikhiye
aandhiyan jab de rahi hon dastaken
tab diye ki lau bachana sikhiye
tak par dhar ke usulon ko kabhi
nam apna mat kamana sikhiye
KHamushi se aaj sunta kaun hai
shor mahfil mein machana sikhiye
Daliye dariya mein yun mat nekiyan
ab bhala karke jatana sikhiye
tan ke rakhiye ise har-dam magar
us ke dar pe sar jhukana sikhiye
un ki yaadon se hui nam aankh ko
aap duniya se chhupana sikhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.