na darmiyan na kahin ibtida mein aaya hai
na darmiyāñ na kahīñ ibtidā meñ aayā hai
badal ke bhes mirī intihā meñ aayā hai
usī ke ruup kā charchā hai ab fazāoñ meñ
havā ke ruḳh ko palaT kar havā meñ aayā hai
kabhī jo tez huī lau to jagmagā uTThā
barahna thā jo kabhī ab qabā meñ aayā hai
mujhe hai phuul kī pattī sā ab bikhar jaanā
vo chhup-chhupā ke mirī hī ridā meñ aayā hai
asīr-e-zulf ko shāyad yahīñ rihā.ī hai
pukārtā huuñ jise vo sadā meñ aayā hai
nigal ga.ī hai tasavvur kī aañch aañch ise
koī vajūd kisī sāneha meñ aayā hai
maiñ chheḌtā huuñ samundar kī dhun meñ naġhmoñ ko
vahī jo raag dil-e-mutriba meñ aayā hai
usī ke sher sabhī aur usī ke afsāne
usī kī pyaas kā bādal ghaTā meñ aayā hai
na darmiyan na kahin ibtida mein aaya hai
badal ke bhes meri intiha mein aaya hai
usi ke rup ka charcha hai ab fazaon mein
hawa ke ruKH ko palaT kar hawa mein aaya hai
kabhi jo tez hui lau to jagmaga uTTha
barahna tha jo kabhi ab qaba mein aaya hai
mujhe hai phul ki patti sa ab bikhar jaana
wo chhup-chhupa ke meri hi rida mein aaya hai
asir-e-zulf ko shayad yahin rihai hai
pukarta hun jise wo sada mein aaya hai
nigal gai hai tasawwur ki aanch aanch ise
koi wajud kisi saneha mein aaya hai
main chheDta hun samundar ki dhun mein naghmon ko
wahi jo rag dil-e-mutriba mein aaya hai
usi ke sher sabhi aur usi ke afsane
usi ki pyas ka baadal ghaTa mein aaya hai
- Book : Khwaab Palkon Mein (Pg. 27)
- Author : Vishal Khullar
- Publication : Insha Publications (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.